Sep 8, 2011

एक सपना सजा है

मंजिल की राह में,
दरख़्त की छाँव में,
सपनों के गाँव में, 
गाँव के खलिहानों में, 
धरती की गोद में, 
नव-जातों की सिराओं में,

सिराओं से लहराती बसंती हवा में,
हवाओं के आँचल में छुपी सुरभि में,

एक सपना सजा है,
जो हरेक का अपना है,
जो अपनों से जुड़ा है,
अपनों की चाह में,

जहां आशाओं के बीज बोए जाते हैं,
अरमानो और प्रार्थनाओ से सींचे जाते हैं 

जब प्यार के आँचल की छाँव तले,
अपने ही उन्माद में अंकुर फूटते हैं,

तो उन्हें देख ख़ुशी के नयनो में,
सपने संजोने वाला जल मोती बन,
अपनी पूर्णता को प्राप्त करता है

Aug 30, 2011

Mohe Angana


Mohe  angna  aaye  balma
Kaliyaan. . . . . . . .
Kaliyaan  khil-khil  jaye
Mohe  angna

Chham-chham  chham-chham  baje  pejaniya
Kangna. . . . . . . .
Kangna khanak  khanak
Khanke  jeeyra

Ghir-ghir....ghir  aaye  badariya
Sakhiyaan. . . . . . . .
Sakhiyaan  sang  jhum-jhum  naachu
Mein  bavariya
Luk-chhup  dekhe  hei  piya.............................. Mohe angna aaye balma

Tohe  rang  mein  rangi  sajana
Tohe  rang  mein  rangi  sajana  chunariya
Chunariya. . . . . . . . .
Chunariya  odhu  mein  odhu  asmaan
Tora  sanvariya

Mohe  Angna. . . . . . . . .

Aug 28, 2011

Whispers of heart

Baadlon me band bundon ko jara baras jaane do
paimane bhare sharab ke jara chhalak jaane do
inayat ho aapki bas itni...
meri kitab ke panno ko jara bayaan ho jaane do
......................................

Itne kamsaf bhi hum nahi
Ki auron ki juba ko apna naam dein
Chura lete hein jo darde-haya
Woh shayar hum nahi 
......................................

sadiyo ke faasle hain kaafi nahi tumhe bhool jaane ko...
hum lamha-lamha jiye hain, tere khyal ki khushbu me
........................................

Tere na chahne par humne jala dale hein dile-ei-jasba sare
Jo khaak se bhi teri khusboo aati rahe toh ab kya karein
........................................

Pili sarson par os ki bundon mein
Humne teri yaad ko basa rakha hei
Tuje kya khabar ei darde-jigar
Humne teri yadon ka gulshan saja rakha hei 
...................................... 
   
Kya tum mile the humein yunhi bhul jane ko
Kya wo wada kiya tha yunhi saath nibhane ko
Humne to sahra mein bhi baag sajaye hein
Teri justju mein na jane kitne sawan gawaein hein 
...................................... 
   
Kahin kisi basti mein
Ek khamosh dhua uthta hei
Wo kahte hain ki dhoond hai
Magar aisa lagta nahi
......................................  

Woh aaye the dar pe humare
Jazbat bayan bhi na hue
Shama roshan bhi na hui
Aur chupke se chale gaye 
...................................... 

Waqt ka dariya hei, jivan ki ravani hei
Seene mein ghumadte badal aur ankhon mein pani hei
Ai dost! kya har ishk ki yahi kahani hei? 
...................................... 

Bhige hei naina, roondhe hein alfaaz
Ghutate hein jazbat, lutate hein armaan
Hai sitam mohabbat ka aisa
Ki seene mein khanjar ki khaleesh ho jaisa
......................................

Bhigi hei chandni, bhiga hei alam
Bhiga hei tanman, bhige hei balam
Aise mein chhed koi raag man-bhavan
Nache mayur-man gaaye anuraag is sawan 
...................................... 
   
Yeh kaisa makam hei dosti ka
Tera hokar bhi na hona azaab deta hei
Meri har awaz dum todti hei tere kano tak
Tera har jikra ek jhooti hansi deta hei
......................................    

Tu jo sang nahi hei mere
Mere gum nahi ab tere
Tanha hue ye raat-din ke phere
Tere naam kiye humne saare savere
......................................    

til-til kar mann jalta hai, har saans me dard sa uthta hai..
gahra hai haan zakhm koi, jo teri har yaad me jag uthta hai.
......................................

Hume bhool jaane ki khata tum na karna
har pal yaad rakhne ki saza hogi


Izhaar